POEM: YEH KISKA BHARAT HAI JO INDIA LE UDA HAI?

Copyright@shravancharitymission

 

By Kamlesh Tripathi

 

 

 

Yeh kiska ‘Bharat’ hai jo ‘India’ le uda hai?

Yeh kiska ‘Gandhi’ hai jise India kho chukka hai?

Pehle toh Bharat mein Jai-Hind-Jai Hind ka nara tha,

Par aaj ke India mein sirf Jai-Hum-Jai-Hum ka bol bala hai,

Yeh kiska Bharat hai jo India le uda hai?

Yeh kiska ‘Gandhi’ hai jise India kho chukka hai?

*

Kal tak ka Bharat, aur aaj ka India,

Ab jaise sat samundar ke antaraal mein aa khada hua hai,

Kuch samajh mein nahi aata,

Yeh kiska Bharat hai jo India le uda hai?

*

Bharat ko dabochkar bana hai India,

Jahan corruption ka hai bol bala,

Aur sachai ka hai mooh kala,

Aur kuch pata nahi

Yeh kiska Bharat hai jo india le uda hai?

*

Bharat ke damkhan ko parast kar,

Netaon ne vote bank ko apnaya hai,

Jahan Bharat wasiyon ko Indians banakar,

Aapas mein he ladwaiya hai,

Aur kya kahen,

Yeh kiska Bharat hai jo India le uda hai?

Yeh kiska ‘Gandhi’ hai jisse India kho chukka hai?

*

Bharat toh ab siskiyan le raha hai,

Jab katleaam he ho gaya sanskaron ka,

Par netaon ko toh chahiya ek he sanskar,

Is India mein rahe gaddi hamari barkarar,

Aur kya batain,

Yeh kiska Bharat hai jo India le uda hai?

Yeh kiska ‘Gandhi hai jisse India kho chukka hai?

*

Janta siskiyan lete hue kehti hai,

Yeh hamara Bharat Mahaan hai jo Neta le uda hai,

Yeh hum sabka India—jahaan hai jo Neta le uda hai,

Aur yeh ham sab ka hi ‘Gandhi’ hai jisse neta kho chukka hai.

*****

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s